Monday 30 May 2016

Sad Love romantic urdu photo poetry hd wallpaper images

Sad Love romantic urdu photo poetry hd wallpaper images








Wo jo Rehta tha is dil mein kabi "apnon"ki tarah,

Aisa bhola k milta hy ab "sapnon"ki tarah,

Pal pal karta tha jo sath"nibhane"ki batain,

Chorr gaya hm ko purani "rasmon"ki tarah,

Ruswa huay "zamany"mein to ye jana,

Tere waady b thy jhooty teri  "qasmon"ki tarah...



Ik Khwab ajab sa dekha hy,
Ham uss din sy bezaar
"Piya"

Ab neend to ham sy rooth gai,
Phir kaisy ho deedar
"Piya"

Ab keh dalo to Behtar hy,
Jo karna hy iqrar
"Piya"

DiL ghum sy he phat jaye ga,
Kar dena na inkaar
"Piya"

In ashkon ko un Aankhon ki,
Na rok skay deewar 
"Piya"

Agr rastay seedhy saday hain,
To chalna kyun dushwar
"Piya"

Haan Jism to apna laot aya,
Pr bhatkay Rooh uss Paar
"Piya''.

No comments:

Post a Comment